Teri Mitti 2.0

Nanhi si hasi, bholi si khushi, phoolon si wo baahein bhool gaye Jab desh ne di aawaz humein hum ghar ki raahein bhool gaye Hum soye nahin kayi raaton se ae jaane watan sau chaand bujhe Humein neend ussi din aayegi jab dekhenge aabaad tujhe … Teri mitti me mil jaawaan Gul banke main khil jaawan itni si hai dil ki aarzu…. Teri nadiyon me bah jaawaan Tere kheton me lahraawaan Itni si hai dil ki aarzu… Majboor hui jab dil ki duaa to humne dawaa se kaam liya Wo nabz nahin phir thamne di, jis nabz ko humne thaam liya Beemar hai jo kis dharm ka hai..humse na kabhi ye bhed hua... Sarhad pe jo wardi khaki thee, ab uska rang safed hua. Teri mitti me mil jaawaan Gul banke main khil jaawan itni si hai dil ki aarzu…. Teri nadiyon me bah jaawaan Tere kheton me lahraawaan Itni si hai dil ki aarzu…!!!

Comments

Popular posts from this blog